Movie - Khuddar
Music - Anu Malik
Lyrics - ???
Singers - Kumar Sanu, Alka Yagnik
Actors - Govinda, Karishma Kapoor
Released in 1994
Lyrics:
Barsaat ka mausam, yahan hum yahan tum
sajni ko mil gaye saajan saajan saajan...
tumsa koi pyaara, koi masoon nahi hai
kya cheez ho tum, khud tumhe maloom nahi hai
lakhon hain magar, tumsa yahan kaun haseen hai
tum jaan ho meri, tumhe maloom nahi hai
(tumsa koi pyaara, koi masoon nahi hai...)
sau phool khile, jab yeh khila roop sunehera
sau chaand bane, jab yeh bana chaand sa chehra (2)
itna bhi koi pyaar ki raahon mein na gum ho
bas hosh hai itna ki mere saath mein tum ho
mere saath mein tum ho, mere saath mein tum ho
hmmm...dhadhkan hai kahin, dil hai kahin, jaan kahin hai
tum jaan ho meri, tumhe maloom nahi hai
yeh chandani in aankhon ka saaya to nahi hai
kya cheez ho tum, khud tumhe maloom nahi hai
(tumsa koi pyaara, koi masoon nahi hai...)
yeh hont, yeh palkein, yeh nigaahein, yeh adaayein
mil jaaye khuda mujhko to main le loon balayein (2)
duniya koi gum bhi mere saath na hoga
tum saath chaloge to yeh ehsaas na hoga
ehsaas na hoga, ehsaas na hoga
hmmm....akash hai pairon mein hamare ke zameen hai
tum jaan ho meri, tumhe maloom nahi hai
aisa koi mehboob zamane mein nahi hai
kya cheez ho tum, khud tumhe maloom nahi hai
(tumsa koi pyaara, koi masoon nahi hai....)
Watch it in You Tube:
Translated Lyrics:
Not available